Main intezaar to karta rahungaagar tu naa ayai to
maut aayegi zaroor mujhe gale lagane
magar intezaar to karta rahunga...
tere aane tak ya maut ke aane tak
main intezaar to karta rahunga....
Main intezaar to karta rahunga
ye jaan kar bhi
ki tu hi ek haseen nahi duniya mein
kyon ki ye jaanta hoon main
ki tu hi wo sabse achhi cheez hai duniya me
bas ishwar ki is kala ka gungaan main karta rahunga
tere aane tak ya maut ke aane tak
Intezaar main karta rahunga
Main intezaar to karta rahunga

teri hansi se apne ghaav ko bharta rahunga
agar tu samajh le mere dil ki baat
to fir baat hi kya hai
aur agar na samjhi fir zindigi hi kya hai
zindigi ki har saans par main
yun hi marta rahunga
tere aane tak ya maut ke aane tak
main intezaar to karta rahunga
4 comments:
waah waah, waah waah.. majnu :p
its vry nice
i like it
direct dil se
Kisi haseena par mar mitane ki kasam khai hai
Hai mohabbat ya ,dil ki gunjati tanhayee hai
Ab to inkaar ki gunjaish hi shesh nahi rehti
waah Gomzi kya sundar kavita banai hai
simple thoughts, simple words...
magar har line ek puuri kavita hai...
kisi shabd ko padhna nahin padta... har shabd bolta hai.
maan gaye gomsi... bahut bade insaan hain aap.
:Tapas
Post a Comment