Tuesday, April 17, 2007

INTEZAAR

Main intezaar to karta rahunga
agar tu naa ayai to
maut aayegi zaroor mujhe gale lagane
magar intezaar to karta rahunga...

tere aane tak ya maut ke aane tak
main intezaar to karta rahunga....



Main intezaar to karta rahunga
ye jaan kar bhi

ki tu hi ek haseen nahi duniya mein
kyon ki ye jaanta hoon main

ki tu hi wo sabse achhi cheez hai duniya me
bas ishwar ki is kala ka gungaan main karta rahunga
tere aane tak ya maut ke aane tak
Intezaar main karta rahunga




Main intezaar to karta rahunga
teri hansi se apne ghaav ko bharta rahunga
agar tu samajh le mere dil ki baat
to fir baat hi kya hai
aur agar na samjhi fir zindigi hi kya hai
zindigi ki har saans par main

yun hi marta rahunga
tere aane tak ya maut ke aane tak
main intezaar to karta rahunga

Anjaan Raahein




Kyon meri kalam abb to
wo raah pakad leti hai
jis raah par tum na aaye
main aaj bhi akela
us raah par hi chalta hoon
jis raah par tum na aaye
sapne the sanjoy maine
us raah par hum tum dono
bas saath chale jaate hain
jis raah par tum na aaye
main reh gaya akela
au
r ab kavi bhi ban gaya hoon
chaha tha maine kuch likhna
jo yaad na dilaye teri




par hoon majboor main kyon ki
abb meri kalam bhi abb
wo raah pakad leti hai
jis raah par tum na aaye
wo raah pakad leti hai